aae the kyun sahra mein jugnu ban kar

aae the kyun sahra mein jugnu ban kar
tapti lu mein halki si khushbu ban kar

chalna, rukna donon mein barbaadi hai
dasht-e-wafa mein aae to ho aahu ban kar

kuchh to ajab hai warna aaj ki duniya mein
rahta kaun hai kis ka ab bazu ban kar

aaina-khana dil ka tab mismar hua
aai haqiqat samne jab jadu ban kar

sara zamana sar aankhon par leta hai
ruswa hun ghar mein apne urdu ban kar

kuchh to junun ko apne taghayyur karna tha
khun-e-jigar hi bah nikla aansu ban kar

ruh mein bhi kya utre hain mani is ke
yun to sarapa rahte ho ya-hu ban kar

yun to bayan us husn ka karna tha dushwar
aaya mere ashaar mein kuchh pahlu ban kar

kab kar den sairab kisi ko wo, un ke
sar se ghataen lipti hain gesu ban kar

un ke ishaare yun bhi qatil hain 'khalid'
aur qayamat hoti hai abru ban kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close