aag hai phaili hui kali ghaTaon ki jagah

aag hai phaili hui kali ghataon ki jagah
bad-duaen hain labon par ab duaon ki jagah

intikhab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil
dekh kar zagh-o-zaghan ko khushnawaon ki jagah

kuchh bhi hota par na hote para-para jism-o-jaan
rahzan hote agar un rahnumaon ki jagah

lut gai is daur mein ahl-e-qalam ki aabru
bik rahe hain ab sahafi be-sawaon ki jagah

kuchh to aata hum ko bhi jaan se guzarne ka maza
ghair hote kash 'jalib' aashnaon ki jagah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close