aag ke sath hi pani bhi baham rakhna tha dil mein tha ishq to aankhon ko bhi nam rakhna tha mujh ko malum tha badli hui rut ka anjam phir bhi be-tab umangon ka bharam rakhna tha ab kahan dil ki talab aql se ho kuchh imdad ek zara soch ke pahla hi qadam rakhna tha un se ummid na rakhta main wafa ki kaise dast-e-ulfat mein mohabbat ka ilm rakhna tha shiddat-e-ishq mein karna tha izafa 'raghib' aur betabi-e-jazbaat ko kam rakhna tha