aag lag jaegi ek din meri sarshaari ko main jo deta hun hawa ruh ki chingari ko warna ye log kahan apni hadon mein rahte main ne maqul kiya hashiya-bardari ko ye parinde hain ki darwesh hain zindanon ke kuchh samajhte hi nahin amr-e-giraftari ko ab hamein zindagi karne mein suhulat di jae khinch lae hain yahan tak to giran-bari ko ek tufan-e-bala-khez ne manzar badla ped tayyar hue rasm-e-nigun-sari ko us ne wo zahr hawaon mein milaya hai ki ab konplen sar na uthaengi numudari ko kaun khinga mere jism ki zanjir 'azar' kaun aasan karega meri dushwari ko