aagahi aaine talak hai kya khud ke hone mein koi shak hai kya qarya qarya bhatak rahe hain log sab ko andha kiye chamak hai kya munh pe aati hain an-kahi baaten dil mein baqi abhi kasak hai kya andar andar se hil raha hun main hoti mahsus kuchh dhamak hai kya tum jo aankhon ko band rakhte ho dekh li us ki ek jhalak hai kya kyun nigahon mein hain meri sab rang mere pesh-e-nazar dhanak hai kya hai udanon ka silsila har-su ab zamin ki tarah falak hai kya koi manzar bhi ab nahin bhata mustaqil aankh mein khatak hai kya un ko aati hai kyun haya 'rahat' pairahan sirf jism tak hai kya