aagahi ne ye raaz paya hai

aagahi ne ye raaz paya hai
raushni ka subut saya hai

apne gham ka hisab laya hai
jo bhi gham-khwar ban kar aaya hai

dekhiye dil pe kya guzar jae
koi rah rah ke yaad aaya hai

sarfaraazi pe bhulne walo
gham bhi khushiyon ke sath aaya hai

un se wabastagi ka kya kahna
apna ho kar bhi dil paraya hai

ishq ne har maqam se hat kar
rang apna alag jamaya hai

zikr hai jis ki shadmani ka
wo bhi mahaul ka sataya hai

ai 'rishi' karobar-e-ulfat mein
jis ne khoya hai us ne paya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close