aage hamare ahd se wahshat ko ja na thi diwangi kaso ki bhi zanjir-e-pa na thi begana sa lage hai chaman ab khizan mein hae aisi gai bahaar magar aashna na thi kab tha ye shor-e-nauha tera ishq jab na tha dil tha hamara aage tu matam-sara na thi wo aur koi hogi sahar jab hui qubul sharminda-e-asar to hamari dua na thi aage bhi tere ishq se khinche the dard-o-ranj lekin hamari jaan par aisi bala na thi dekhe dayar-e-husn ke mein karwan bahut lekin kaso ke pas mata-e-wafa na thi aai pari si parda-e-mina se jam tak aankhon mein teri dukhtar-e-raz kya haya na thi is waqt se kya hai mujhe to charagh-e-waqf makhluq jab jahan mein nasim-o-saba na thi pazhmurda is qadar hain ki hai shubh hum ko 'mir' tan mein hamare jaan kabhu thi bhi ya na thi