aage sarak rahe hain ki sakta bhi hai ajab

aage sarak rahe hain ki sakta bhi hai ajab
diwar-o-dar ko shauq-e-tamasha bhi hai ajab

shayad udas shakhon se lipta hua mile
apni gali mein us ka thikana bhi hai ajab

bikhre huruf jod ke likh do koi to nam
is dil ke dukh ajab hain masiha bhi hai ajab

harf-e-visal harf-e-guman tak na ban saka
tahzib-e-jaan mein gham ka mudawa bhi hai ajab

bheji hain us ne phulon mein munh band sipiyan
inkar bhi ajab hai bulawa bhi hai ajab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close