aaghosh-e-tasawwur mein jab main ne use maska lab-ha-e-mubarak se ek shor tha bas bas ka sau bar harir us ka maska nigah-e-gul se shabnam se kab ai bulbul pairahan-e-gul maska us tan ko nahin taqat shabnam ke talabbus se ai dast-e-hawas is par tu qasd na kar mas ka malti hai pari aankhen aur hur jabin sa hai hai naqsh-e-jahan yaro us pa-e-muqaddas ka tar rakhiyo sada ya-rab tu is mizha-e-tar ko hum itr lagate hain garmi mein isi khas ka is girya-e-khunin ki daulat se 'nazir' apne ab kalba-e-ahzan mein kul farsh hai atlas ka