aah duniya sara-e-fani hai kis qadar mukhtasar kahani hai khud ko deta hun muskura ke fareb dil magar waqf-e-nauha-khwani hai mujh se hans-bol len mere sathi ab koi din ki zindagani hai mausam-e-gul mein wo jo aan milen hum bhi jaanen ki rut suhani hai be-sabab to nahin bahe aansu aansu aansu mein ek kahani hai ek sarapa ki ranj-o-yas hain hum dard-e-dil monis-e-jawani hai muskuraun main kis tarah 'altaf' tak mein daur-e-asmani hai