aah mizrab-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin saz aahon ki ibaadat ke siwa kuchh bhi nahin zindagi par jo kabhi tum ne inayat ki thi ab wo taufiq-e-inayat ke siwa kuchh bhi nahin aur hasil ho koi gham to ajal ko samjhen zindagi raaz-e-haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin aur afsana-e-mazi mein to rakha kya hai ab sukun lafz-e-riwayat ke siwa kuchh bhi nahin