aahon ke koi dhab hain na rone ke qarine furqat ko badhaya hai meri kam-hunari ne maqsud pe hain pesh-e-raqiban-e-parida kya udna sikhaya hamein be-baal-o-pari ne tair wahin baste hain jahan sang na aaen aabaad rakha mujh ko meri be-samari ne hun bhi ki nahin hun aur agar hun bhi to kya hun tashwish mein rakkha hai teri khud-nigari ne mahfil mein ghutan hoti hai tanhai mein wahshat rakkha na kahin ka mujhe khasta-jigari ne