aai hai aise gham mein rawani parat parat bahne laga hai aankh se pani parat parat bandha hai jab se tere tasawwur ko sher mein sheron ke khul rahe hain maani parat parat chhaya raha ho jaise budhapa nafas nafas guzri hai aise apni jawani parat parat dil ke waraq waraq pe tera nam sabt hai ek tu hi dhadkanon mein hai jaani parat parat gard-o-ghubar gham se ati hai faza faza hoti thi koi rut jo suhani parat parat lekin bana na qais ki surat hamara nam sahra ki khak hum ne bhi chhani parat parat koi jawaz de na saka meri baat ka us ne ghalat kaha hai zabani parat parat yaaden dila rahi hai sitamgar ki bar bar mujh ko rula rahi hai nishani parat parat hasil karunga jaise bhi mumkin hua use main ne 'nabil' dil mein hai thani parat parat