aai to kahin koi qayamat nahin ab ke

aai to kahin koi qayamat nahin ab ke
is shahar mein ek sar bhi salamat nahin ab ke

yun khema-e-gul khak hua fasl-e-junun mein
phulon pe koi rang-e-malahat nahin ab ke

kya jaaniye kis dasht ka paiwand hua hai
ek shakhs sar-e-ku-e-malamat nahin ab ke

ab tut ke sahra mein bikharne ki hawas hai
ek gosha-e-daman pe qanaat nahin ab ke

han ab na rahi dar-o-rasan se koi nisbat
han pesh-e-nazar wo qad-o-qamat nahin ab ke

wo zakhm mile dil ko sar-e-manzil-e-qurbat
ek dushman-e-jaan se bhi shikayat nahin ab ke

khud us ne kiya faisla-e-tark-e-talluq
khud mujh se mere dil ko nadamat nahin ab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close