aain-e-asiri ke ye mear nae hain zindan to wahi hai dar-o-diwar nae hain ikhlas makinon ka to dekha nahin ab tak han shahr ke sab kucha-o-bazar nae hain dushman se to kuchh khauf na ab hai na kabhi tha dar ye hai ki ab mere taraf-dar nae hain baqi nahin pahli si wo taqdis-e-mohabbat ab husn naya us ke parastar nae hain pahchan liya hum ne tumhein rah-numao baaten wahi pairaya-e-izhaar nae hain sahma hua sannata hai makhdush fazaen ab dekh ke chalega ye aasar nae hain bazar ki raunaq wahi pahli si hai 'kausar' itna hai ki is bar kharidar nae hain