aaina-dar-aina qad-awari ka karb hai gum-shuda danish-wari hai khud-sari ka karb hai mera dukh ye hai ki main na-mo'tabar lashkar mein hun sar-ba-neza main nahin hun ek jari ka karb hai bhuk ko nisbat nahin gehun ki paidawar se mera dastar-khwan khali tashtari ka karb hai ek taraf yaron ki yari ka bharam khulta hua ek taraf ikhlas ki bakhiya-gari ka karb hai apne darwaze pe baitha sochta rahta hun main mera ghar ajdad ki bara-dari ka karb hai wo zamana hai ki ab tar-e-nafas bhi hai giran baad ki manzil to bas khush-paikari ka karb hai waqt ki mizan par binai khandan hai 'sharar' kor-binon mein bhi ab dida-wari ka karb hai