aaina-dar-e-jalwa-e-jaanana ban gaya

aaina-dar-e-jalwa-e-jaanana ban gaya
har zarra kaenat ka diwana ban gaya

mahfil mein un ki surat-e-parwana ban gaya
jis mein zara bhi hosh tha diwana ban gaya

qaem raha namaz mein bhi zauq-e-masiyat
utthe dua ko hath to paimana ban gaya

teri samai wusat-e-kaunain mein na thi
mera hi dil tha jo tera kashana ban gaya

kuchh is tarah se hashr mein badli meri zaban
mera fasana aap ka afsana ban gaya

mujh rind-e-baada-mast ki qismat to dekhiye
abr-e-karam bhi josh mein mai-khana ban gaya

'raushan' zahe-nasib ki qadmon pe husn ke
main jaan de ke hasil-e-afsana ban gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close