aaina hai khayal ki hairat us pe tere jamal ki hairat koi chehra nahin tamanna ka kuchh nahin khadd-o-khal ki hairat kaun sa sharq kis tarah ka gharb kya junub-o-shumal ki hairat aisa karta hun bandh deta hun zakhm par indimal ki hairat dekhne wala bhi pareshan hai tute shishe mein baal ki hairat dil pe chalta hai dard ka jadu aankh mein hai malal ki hairat de gaya hai jawab aa kar wo rah gai hai sawal ki hairat sab ko hairat mein dal deti hai chaal par khai chaal ki hairat khinch leti hai ek din khud hi jal-pari ko bhi jal ki hairat tohfa milta hai jab janam-din pe khatm hoti hai sal ki hairat tabsire the uruj par mere main ne dekhi zawal ki hairat sab ayan ho gaya zamane par khatm-shud mah-o-sal ki hairat apna mazi bata raha hai 'zeb' laut aaegi haal ki hairat