aaina ru-ba-ru hai shikasta khada hun main duniya samajh rahi hai ki sab se bada hun main sadiyon se ek nigah ko aankhen taras gain dil ko bichhae rah mein kab se khada hun main lafzon ke her-pher se mani badal gaya mafhum-e-zindagi pe abhi tak ada hun main kuchh apna gham samaj ka gham doston ka gham gham-ha-e-be-shumar mein tanha khada hun main har shakhs aaine se yahi puchhta raha is shahr-e-be-libas mein kab se pada hun main 'nashtar' udas raat ki mahrumiyon se puchh kyon subh-e-dil-nawaz ke pichhe pada hun main