aaine mein pas-e-manzar ka ubharna kaisa

aaine mein pas-e-manzar ka ubharna kaisa
jhil jaisi teri aankhon mein ye jharna kaisa

umr-bhar sath raho to kahin mahke aangan
kisi khushbu ki tarah chhu ke guzarna kaisa

wo to ek khwahish-e-nakaam thi jo chikh padi
be-sabab apni hi aawaz se darna kaisa

gard shishon se hatao to koi baat bane
andhe aainon ke aage ye sanwarna kaisa

phenk do bar-e-alam kuchh to safar aasan ho
bojh lade hue duniya se guzarna kaisa

ai mere shor-e-nafas bar-e-samaat se gurez
nind ke waqt sadaon ka ubharna kaisa

gosh-e-ummid hue jabki sadaon ke asir
fath phir koh-e-nida ka 'ziya' karna kaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close