aaine se guzarne wala tha aks-e-hasti bikharne wala tha lafz tartib de raha tha main sher mujh par utarne wala tha dost taswir to parai thi main to bas rang bharne wala tha hum bhi kya us ke sath mar jate marne wala to marne wala tha phir achanak badal gaya manzar main jise naqsh karne wala tha phir mujhe samne se hatna pada aaina mujh se darne wala tha wo to nakhun ne mehrbani ki warna ye zakhm bharne wala tha phul tha shakh ki hatheli par aur hawa mein bikharne wala tha ab ki suraj tha ishtiha meri main wahan panw dharne wala tha tum ne dekha tha kitna sharminda mujh pe tanqid karne wala tha tishnagi thi uruj par apni aur dariya utarne wala tha hadisa ain us jagah pe hua main jahan se guzarne wala tha 'zeb' aankhen na band karta agar khauf andar utarne wala tha