aaj aaya hai mere aage ek baDa gambhir sawal

aaj aaya hai mere aage ek bada gambhir sawal
us ki har tahrir talab hai us ki har taqrir sawal

khun se apne likhte rahna kya kya pur-tasir sawal
hijr ki shab phir khud hi mitana sare be-tabir sawal

sar par chandi ug aai hai lekin uqde kam na hue
ab bhi khade hain rah mein ban kar pairon ki zanjir sawal

awwal awwal uf wo kisi ki kab aur kyon ka lutf-o-surur
aakhir aakhir bante jaana dil ke liye tazir sawal

tadbiron ke nange sar par dast-e-dua ka saya tha
meri ek ek haar pe mujh se karti hai taqdir sawal

lamhe phir se ud jate hain de kar kuchh sat-range khwab
aur phir ek din ban jaani hai khwabon ki tabir sawal

aankhen de nahin pati hain jab aankhon ka bharpur jawab
chhalni kar dete hain dil ko tab ban ban kar tir sawal

zulm-o-sitam ka chadhta suraj amn-o-aman ke bujhte dip
aaj ki duniya ki qismat hain kitne aatish-gir sawal

ishq ne aisa chola badla husn ne aisa badla rup
jis ke aage is kal-yug mein kal ke ranjhe hir sawal

hindi mein ab padhte hain hum urdu ki nazmen ghazlen
urdu mein ban jaenge aakhir 'ghaalib' 'momin' 'mir' sawal

farz samajh kar koshish karna us ke kaam aane ki 'sahar'
waqt ke hathon jab ban jae muflis ki tauqir sawal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close