aaj bazm-e-naz mein wo intishaar-e-naghma hai saz-e-dil ki har sada na-sazgar-e-naghma hai mere saz-e-gham se duniya hi nahin hai muztarib wusat-e-kaun-o-makan bhi sogwar-e-naghma hai dast-e-rangin mein kisi ke aa gaya phir saz-e-dil mera har tar-e-nafas phir be-qarar-e-naghma hai us ko aaegi nazar kya khak taswir-e-alam jis ke dil ka aaina pur-az ghubar-e-naghma hai jab se shamil ho gai hai naghmagi-e-saz-e-dil mera nala ghairat-e-kaif-e-bahaar-e-naghma hai kash hota 'muslim'-e-rangin nawa-e-shauq bhi aaj ka mahaul kitna sazgar-e-naghma hai