aaj be-chehra hain chehron ke samundar kitne

aaj be-chehra hain chehron ke samundar kitne
aaine dhundte phirte hain sikandar kitne

main ne bachchon ke namune ke jo banwae the
bah gae waqt ke sailab mein wo ghar kitne

ek aansu bhi nahin ek tabassum bhi nahin
mit gae harf-e-ghalat ban ke muqaddar kitne

hum ne apna hi makan aaj khula chhod diya
phenk sakta hai kahin se koi patthar kitne

garm-bazari salibon se badhi hai aage
raat din karte hain saudagari khanjar kitne

tishnagi dasti rahi tishna-labi ko lekin
shish-mahlon mein chhalakte rahe saghar kitne

ho gaya lafz-e-wafa band kitabon mein 'raza'
sard-mehri ke har ek samt hain daftar kitne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close