aaj bhi hath pe hai tere pasine ki tari yani hai aaj bhi shakh-e-shajar-e-dard hari pas-e-daman na sahi pas-e-gareban hi sahi tujh pe lazim nahin ai dast-e-junun jama-dari main ki duniya-e-hawas mein bhi sar-afraaz raha kaam aa hi gai aakhir meri aashufta-sari dil ki basti se kabhi yun na guzarti thi saba ab na paighambari hai na koi nama-bari hum ne bhi chhod diya maslak-e-arbab-e-wafa wo bhi ab bhul gae shewa-e-bedad-gari raat ka karb samete hue apne dil mein jhilmilata hai kahin dur charagh-e-sahari main ne kis dil se shab-e-gham ki sahar ki hai 'arib' yaad aaegi zamane ko meri be-jigari