aaj karna thi tawajjoh chaak-e-daman ki taraf

aaj karna thi tawajjoh chaak-e-daman ki taraf
dhyan ja nikla magar ek ru-e-taban ki taraf

jab hawa ke nam pahuncha aamad-e-shab ka payam
ek jhonka chal diya sham-e-farozan ki taraf

ek chehra jagmagaya hai sar-e-dasht-e-khayal
ek shoala uth raha hai dil se mizhgan ki taraf

ye bayaban aur us mein chikhti gati hawa
un se dil bhar le to jaun rah-e-asan ki taraf

is tarah hail nahin hote kisi ki rah mein
kyun bhala itni tawajjoh ek mehman ki taraf

ain mumkin hai ki tu sach bol kar zinda rahe
main ishaara kar raha hun ek imkan ki taraf

ek taqaza bebasi ki rakh mein dahka hua
ek tazabzub ka safar inkar se han ki taraf

jis ke badle maut sadiyon ki basar karna pade
zindagi ka qarz itna to nahin jaan ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close