aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao jaanan ki turbat se uttho dauran ko sine se lagao khub nahin ye tarz-e-takalluf aaj taaruf ho jaane do main bhi apne sar ko jhukaun tum bhi apni tegh uthao tedhi narden ulte khane madd-e-muqabil be-uslub ye chausar ka khel bhi kya hai chaal chalo to munh ki khao tum hi qatil tum hi munsif phir bhi mujhe afsos nahin aakhir mere dil mein kya hai bujh sako to baat batao dil ka virana bhi wahi hai teri tamanna bhi hai wahi zulmat mein raushan hai sitara sahra mein jalta hai alao