aaj kuchh surat-e-aflak juda lagti hai dekhta hun teri jaanib to ghata lagti hai zindagi hum tere kuche mein chale aae to hain tere kuche ki hawa hum se khafa lagti hai shab ki aahat se yahan chaunk gaya hai koi ye bhi shayad mere dil hi ki khata lagti hai main zaminon ki lakiron mein ulajhta kaise aasmanon se meri gardish-e-pa lagti hai kya milega tujhe mele mein bhatakne wale in dukanon mein faqat ek sada lagti hai