aaj main phir se mahtab banun tu mujhe padh teri kitab banun shabnami raat ki khumari mein tu mujhe pi teri sharab banun puchhe kitne sawal ye duniya un ki har baat ka jawab banun tu bhi ban jae gul mera hamdam main bhi mahka hua shabab banun tu sahar lane ka to kar wada teri khatir main aaftab banun