aaj nazar-andaz hue to baat hai kya hairani ki aayat jaise log mile aur hum ne ru-gardani ki kitne rup ki dhup hamare sine par lahrai thi hum ne chadar khinch li khud par hum ne tan-asani ki kya karte ek husn-e-yusuf aur zulekha kya bante hum ne donon lutf uthae hum ne qissa-khwani ki dariyaon se milte-julte log rahe hain pahlu mein phir bhi hum ne bhar ke rakkhi apni chhagal pani ki pahle main ne hukm diya tha bas mujh ko mahsus karo baad mein us ko jism banaya jis ne na-farmani ki