aaj phir ruh mein ek barq si lahraati hai dil ki gahrai se rone ki sada aati hai yun chatakti hain kharabaat mein jaise kaliyan tishnagi saghar-e-labrez se takraati hai shola-e-gham ki lapak aur mera nazuk sa mizaj mujh ko fitrat ke rawayye pe hansi aati hai maut ek amr-e-musallam hai to phir ai saqi ruh kyun zist ke aalam se ghabraati hai so bhi ja ai dil-e-majruh bahut raat gai ab to rah rah ke sitaron ko bhi nind aati hai aur to dil ko nahin hai koi taklif 'adam' han zara nabz kisi waqt thahar jati hai