aaj qismat ka bulandi pe sitara kar de jis ko hum chahen usi ko tu hamara kar de jo gawara bhi na ho us ko gawara kar de us ka har zulm-o-sitam jaan se pyara kar de chashm-e-rahmat se agar tu jo ishaara kar de khak ke zarre ko pur-nur sitara kar de muskura kar ai meri jaan tu utha le patwar mauj-e-dariya ko mere haq mein kinara kar de tiliyan kunj-e-qafas ki jo jala deti hain meri aahon ko ilahi wo sharara kar de jis ne aafaq mein mumtaz kiya tha mujh ko mere malik wo karam mujh pe dobara kar de zulm ki basti ko 'shatir' jo baha le jae apni hasti ko wo tufan ka dhaara kar de