aaj to be-sabab udas hai ji ishq hota to koi baat bhi thi jalta phirta hun main dopahron mein jaane kya chiz kho gai meri wahin phirta hun main bhi khak-basar is bhare shahr mein hai ek gali chhupta phirta hai ishq duniya se phailti ja rahi hai ruswai ham-nashin kya kahun ki wo kya hai chhod ye baat nind udne lagi aaj to wo bhi kuchh khamosh sa tha main ne bhi us se koi baat na ki ek dam us ke hont chum liye ye mujhe baithe baithe kya sujhi ek dam us ka hath chhod diya jaane kya baat darmiyan aai tu jo itna udas hai 'nasir' tujhe kya ho gaya bata to sahi