aaj wo KHushbu mere gulzar mein bhi aaegi

aaj wo khushbu mere gulzar mein bhi aaegi
us ke aane se mahak ashaar mein bhi aaegi

khwab mein dekha tha us ko ye to socha bhi na tha
wo mere kashana-e-afkar mein bhi aaegi

na-balad hona dua-e-nuh se achchha nahin
kashti-e-hasti teri manjdhaar mein bhi aaegi

kah rahi hai regzaron se nai rut ki hawa
ab bahaar-e-be-khizan kohsar mein bhi aaegi

us ne farsh-e-bagh par chhidki hai aankhon se sharab
masti-e-mai ab gul-o-gulzar mein bhi aaegi

be-nawa lafzon ko bakhshenge agar eazaz hum
tazgi pairaya-e-izhaar mein bhi aaegi

haar ki sharmindagi se bach gaya mera harif
kya khabar thi ye khabar akhbar mein bhi aaegi

bik rahe hain marmari jism ek roti ke ewaz
ye girawat ab sukhan-bazar mein bhi aaegi

wo bhi din aaega jab shahzadi-e-mulk-e-sukhan
mujh se milne ko bade darbar mein bhi aaegi

sahilon par ghar banaenge agar 'shiban' hum
kuchh nami ghar ke dar-o-diwar mein bhi aaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close