aaj ye sochne baiTha hun ki kal kya hoga

aaj ye sochne baitha hun ki kal kya hoga
is se badh kar bhi kisi sar mein khalal kya hoga

aaj kuchh hai to sahi haal kisi ka behtar
ye khuda hi ko hai malum ki kal kya hoga

kaam ki baat hai kahne ko to kah dun lekin
fikr hi jab nahin koi to amal kya hoga

ek din us ki mohabbat mein fana ho jaana
aur is uqda-e-dushwar ka hal kya hoga

ye gham-o-ranj hi qismat mein agar likkha hai
is mein tadbir se bhi radd-o-badal kya hoga

jis mein ek soz bhi ho saz bhi ho ai 'hairat'
is se badh kar koi andaz-e-ghazal kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close