aaj yun mujh se mila hai ki khafa ho jaise us ka ye husn bhi kuchh meri khata ho jaise wahi mayusi ka aalam wahi naumidi ka rang zindagi bhi kisi muflis ki dua ho jaise kabhi khamoshi bhi yun bolti hai pyar ke bol koi khamoshi mein bhi naghma-sara ho jaise harf-e-dushnam se yun us ne nawaza hum ko ye malamat hi mohabbat ka sila ho jaise is takalluf se sitam hum pe rawa rakhta hai ye bhi minjumla-e-adab-e-wafa ho jaise gham-e-ayyam pe yun khush hain tere diwane gham-e-ayyam bhi ek teri ada ho jaise bandagi hum ko to aai ki na aai lekin husn yun ruth gaya hai ki khuda ho jaise