aakash ki hasin fazaon mein kho gaya main is qadar uda ki khalaon mein kho gaya katra rahe hain aaj ke suqraat zahr se insan maslahat ki adaon mein kho gaya shayad mera zamir kisi roz jag uthe ye soch ke main apni sadaon mein kho gaya lahra raha hai sanp sa saya zamin par suraj nikal ke dur ghataon mein kho gaya moti samet lae samundar se ahl-e-dil wo shakhs be-amal tha duaon mein kho gaya thahre hue the jis ke tale hum shikasta-pa wo saeban bhi tez hawaon mein kho gaya