aakhir ashkon mein ek andaz-e-payam aa hi gaya zabt-e-gham allah rakkhe ye bhi kaam aa hi gaya le ke manzil par mujhe shauq-e-tamam aa hi gaya aaj un se bhi bichhadne ka maqam aa hi gaya gahe-gahe aah kar lena bhi kaam aa hi gaya kam se kam tere hawa-khwahon mein nam aa hi gaya jitni jo pita ho pi le daur-e-jam aa hi gaya qadr-dan-e-har-tamam-o-na-tamam aa hi gaya hae duzdida-nigahon mein wo rang-e-iltifat us ne jo bheja na tha wo bhi payam aa hi gaya go raha sharminda-e-ehsas ranj-e-tishnagi phir bhi lutf-e-intizar-e-daur-e-jam aa hi gaya himmat-e-parwaz ye bhi kaamyabi kam nahin go chaman tak main na pahuncha zer-e-dam aa hi gaya