aakhir charagh-e-dard-e-mohabbat bujha diya sar se kisi ki yaad ka patthar gira diya dhunde janam janam bhi to duniya na pa sake yun hum ne us ko apni ghazal mein chhupa diya khushbu se us ki jism ki aangan mahak utha kamre ko us ne apni hansi se saja diya ye kis ke intizar mein jhapki nahin palak ye kis ne mujh ko rah ka patthar bana diya kya kam hai 'jafari' ki mashinon ke shor ne logon ko apne aap se milna sikha diya