aaKHirash aaraishon ki zindagi chubhne lagi

aakhirash aaraishon ki zindagi chubhne lagi
ub si hone lagi mujh ko khushi chubhne lagi

main na kahta tha ki thodi c hawas baqi rakho
dekh lo ab is tarah aasudgi chubhne lagi

khwab ka sailab kya guzra nigahon se meri
ret palkon se jo chipki nind bhi chubhne lagi

tirgi ka dasht napa raushni ke waste
raushni phaili to mujh ko raushni chubhne lagi

sakht ek lamhe ki rau mein aa ke tauba kar gae
halq mein mere magar ab tishnagi chubhne lagi

ek pashemani si thi mujh ko meri aawaz se
aur jab main chup hua to khamushi chubhne lagi

ye bhi kya hai bhed mera khol do tum barha
yar 'saurabh' ab to teri mukhbiri chubhne lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close