aakhiri lahr kinare pe uchhaal aaya hai mere dariya ko sakhawat mein kamal aaya hai khwab-e-taza ki jo mansub tere nam se tha ab teri samt se lauta to nidhaal aaya hai thak ke gir sakta hun ek roz main chalte chalte dekh kar bikhre hue par ye khayal aaya hai ab jo har aankh tamanna se mujhe dekhti hai ek muddat mein jala tab ye jamal aaya hai mujh ko sahra ki tarah pyas mili wirse mein tere baadal ko kabhi ye bhi khayal aaya hai