aam raste se hat ke aaya hun sari duniya se kat ke aaya hun meri wusat tujhe dara deti apne andar simat ke aaya hun koi taza sitam ki main pichhle hadson se nimat ke aaya hun han mohabbat to mar deti hai ye kahani main rat ke aaya hun meri haalat se map raste ko main kahan se palat ke aaya hun rah-e-gham ab dara nahin sakti gham se hi to lipat ke aaya hun us ki shakhon pe phal nahin lagta jis shajar se main kat ke aaya hun koi surat nahin hai judne ki itne tukdon mein bat ke aaya hun