aamad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab hai naqsh-e-pa jo kan mein rakhta hai ungli jada se bazm-e-mai wahshat-kada hai kis ki chashm-e-mast ka shishe mein nabz-e-pari pinhan hai mauj-e-baada se dekhta hun wahshat-e-shauq-e-kharosh-amada se fal-e-ruswai sirishk-e-sar-ba-sahra-dada se dam gar sabze mein pinhan kijiye taus ho josh-e-nairang-e-bahaar arz-e-sahra-dada se khema-e-laila siyah o khana-e-majnun kharab josh-e-virani hai ishq-e-dagh-e-bairun-dada se bazm-e-hasti wo tamasha hai ki jis ko hum 'asad' dekhte hain chashm-e-az-khwab-e-adam-nakushada se