aanchal mein nazar aati hain kuchh aur si aankhen chha jati hain ehsas pe billor si aankhen rahti hai shab-o-roz mein barish si teri yaad khwabon mein utar jati hain ghanghor si aankhen paimane se paimane talak baada-e-lalin aaghaz se anjam talak daur si aankhen le kar kahan rahti rahi moti si wo surat le kar kahan phirta raha mein gor si aankhen waqt aane pe aai na nazar gardish-e-aflak baitha raha le kar main kisi aur si aankhen tabdili tere dekhte rahne se ye aai bin baithin tasalsul se tere tur si aankhen bil-farz nikal jaun kisi andhe safar par bandhe hue rakhti hain mujhe dor si aankhen har bar kinare se laga kar chali jaen dhundlahaton mein ghamza-e-filfaur si aankhen kya jaane 'nawed' aur hi kar jaen ujala qirtas-e-farozan pe teri kor si aankhen