aandhi mein bisat ulat gai hai ghanghor ghata bhi chhat gai hai wo gard udai hai dukhon ne diwar-e-hayat at gai hai khanjar ki tarah thi reg-e-sahra kheme ki tanab kat gai hai miras-e-gulab thi jo khushbu jhonkon mein hawa ke bat gai hai pyason ka hujum rah gaya hai ek tir se mushk phat gai hai ek aur bhi din guzar gaya hai miad-e-azab ghat gai hai sahil ki badha ke tishnagi mauj dariya ki taraf palat gai hai phailaunga panw kya main 'gulzar' chadar hi meri simat gai hai