aandhiyan shor machati hain ki tari hui raat

aandhiyan shor machati hain ki tari hui raat
aag raushan hui sine mein to jari hui raat

ajnabi shahr mein kuchh khauf sa mahsus hua
odh li main ne khamoshi se utari hui raat

apne sine se guzarte hue har subh ke baad
laut aati hai mere jism mein haari hui raat

jaane kis raat ke honton se pukara gaya main
aaj bhi gunjti rahti hai pukari hui raat

bijliyan daudti phirti hain rag-o-pai mein tamam
zehn mein rengti rahti hai guzari hui raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close