aandhiyon ke sath kya manzar suhane aae hain aaj maidanon mein baghon ke khazane aae hain ab mere talwon ke niche ki zamin aazad hai aasmanon se mujhe baadal bulane aae hain ret se dariya ate hain khak se jhilen patin ye parinde khun mein shayad nahane aae hain khwab jis dil mein raha karte the kab ka mar chuka kis ka darwaza ye bachche khatkhatane aae hain in mein raushan hain abhi tak tere boson ke charag is liye hum apni aankhen khud bichhane aae hain girti diwaron se lag kar dimakon ke qafile kuchh sahife apni aankhon se lagane aae hain aaj hum sab ek behtar zindagi ki daud mein kaise kaise khwab qabron mein sulane aae hain barha is ghar ka batwara hua hai aur sada apne hisse mein faqat dukh ke khazane aae hain chaar dushman aa mile hain raat ki chhat ke tale muddaton ke baad phir agle zamane aae hain