aane ko to baalin par wo jaan-e-bahaar aaya lekin dil-e-muztar ko phir bhi na qarar aaya har rahbar-e-manzil se puchha hai nishan tera kar mujh pe yaqin tujh ko har samt pukar aaya andaz-e-taghaful par ghussa tha bahut lekin wo samne jab aae be-sakhta pyar aaya ai ahl-e-khirad tum ne ulta na naqab un ka aur mera junun ja kar zulfon ko sanwar aaya the meri tabiat par jo bar 'kalim' ab tak paband-e-khirad rah kar wo din bhi guzar aaya