aangan mein chhod aae the jo ghaar dekh len kis haal mein hai in dinon ghar-bar dekh len jab aa gae hain shahr-e-tilismat ke qarib kya chahti hai nargis-e-bimar dekh len hansna-hansana chhute hue muddaten huin bas thodi dur rah gai diwar dekh len arse se is dayar ki koi khabar nahin mohlat mile to aaj ka akhbar dekh len mushkil hai tera sath nibhana tamam umr bikna hai na-guzir to bazar dekh len aashuftagi hamari yahan lai bar bar hai kya zarur tujh ko bhi har bar dekh len