aankh dariya mila rawani ko

aankh dariya mila rawani ko
aur par lag gae the pani ko

aakhiri waqt mein sametenge
zindagi-bhar ki raftgani ko

sher kahta hun sher karta nahin
kaun samjhae us diwani ko

is fasane ki umr khane lagi
mere kirdar ki jawani ko

zakhm kate hain tere maslahatan
phir ugaunga is nishani ko

chikh uttha phir ek visal-zada
hijr ka ant de kahani ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close